" SABZI K FAWAID "
Vitamins hamari sehat o tandurusti ke liye aur jismani nashonuma aur taqat ke liye nihayat zarori aur faidemend hain. Agar jism ko Vitamins munasib miqdar mein na milen to jism ki nashonuma ruk jati hai, weight kam hone lagta hai, beenai kamzor ho jati hai aur aesaab ka nizaam bighar jata hai. Vitamins A ki kami se zaaf meyde aur vitamin B ki kami se zaaf e dimagh ki shikayat peyda ho jati hai. Vitamin C ke bagher bemari ka muqabla karne ki quwwat kam ho jati hai aur gums se peep aane lagti hai. Gharz vitamins hamari sehat o zindagi ke liye lazmi ajzaa hain.
Vitamins hasil karne ke liye tarkariyan sab se mufeed aur easy zariya hai. Yun to tarkariyon ke ilawa fruits mein bhi vitamins, protein waghera sehat bakhsh ajzaa maujood hote hain. Lekin baaz surton mein tarkariyan fruits par fauqiyat rakhti hain. Missal ke taur par Carrot mein Tangerine se vitamin A 10 guna ziyada, Vitamin B arhai guna ziyada aur Vitamin C 2 tehaai ziyada hota hai. Yehi dosri tarkariyon ka ilm hai.
Tarkariyon mein sabz patton wali tarkariyan (Sabziyan) Spinach, kaaho, Qulfa waghera sab se mufeed hain. In mein har qisam ke vitamin paaey jate hain.
Pumpkin, Turnip, Raddish, Onion, Carrot aur Tomato dosre no.par aate hain. In mein Vitamin A kisi qadar kam miqdar mein hota hai. Lekin Vitamin B aur C ki miqdar ziyada hoti hai aur maadni ajzaa bhi kafi hote hain.
Potato waghera nashastadaar tarkariyan teesre darjey par hain. Vitamin A aur B ke ajzaa in mein kam hote hain lekin nashasta, protein aur Vitamin C ki miqdar ziyada hoti hai.
Sehat o tandurusti ke liye in sab tarkariyon aur sabziyon ko mutawazin miqdar mein istemal karna be had zarori hai.
Vegetables ke istemal mein yeh ghalti aam taur par ho jati hai ke kisi aik sabzi ki khobiyan samne rakh kar ise be tahasha istemal kiya jata hai aur baqi sabziyon ko nazar andaaz kar diya jata hai. Halan ke mukhtalif vitamins aur deegar maadni ajzaa ki miqdar ke lihaz kam o besh sab vegetables istemal karni chahiye.
No comments:
Post a Comment